Kaifi-Azmi-Ghazal-Lyrics
Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Jhuki Jhuki Si Nazar - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
झुकी झुकी सी नज़र - कैफ़ी आज़मी - ग़ज़ल लिरिक्स
Album : अर्थ (1982)
Music : जगजीत सिंह
Lyrics: कैफ़ी आज़मी
Artist: जगजीत सिंह
Jhuki Jhuki Si Nazar, Beqarar Hai Ki Nahi
Daba Daba Sa Sahi, Dil Mein Pyar Hai Ki Nahi
Jhuki Jhuki Si Nazar...
Tu Apne Dil Ki Jawaan Dhadkanon Ko Gin Ke Bata
Meri Tarah Tera Dil Beqaraar Hai Ki Nahi
Daba Daba Sa Sahi Dil Mein Pyar Hai Ki Nahi
Jhuki Jhuki Si Nazar...
Wo Pal Ke Jis Men Muhabbat Jawaan Hoti Hai
Us Ek Pal Ka Tujhe Intezaar Hai Ki Nahin
Daba Daba Sa Sahi Dil Mein Pyar Hai Ki Nahi
Jhuki Jhuki Si Nazar...
Teri Ummeed Pe Thukra Raha Hoon Duniya Ko
Tujhe Bhi Apne Pe Ye Aitabaar Hai Ki Nahin
Daba Daba Sa Sahi Dil Mein Pyar Hai Ki Nahi
Jhuki Jhuki Si Nazar...
झुकी-झुकी सी नज़र
बेकरार है के नहीं
दबा-दबा सा सही
दिल में प्यार है के नहीं
झुकी-झुकी सी नज़र...
तू अपने दिल की जवाँ धड़कनों को गिन के बता
मेरी तरह तेरा दिल बेकरार है के नहीं
दबा-दबा सा सही दिल में प्यार है के नहीं
झुकी-झुकी सी नज़र...
वो पल के जिसमें मोहब्बत जवान होती है
उस एक पल का तुझे इंतज़ार है के नहीं
दबा-दबा सा सही दिल में प्यार है के नहीं
झुकी-झुकी सी नज़र...
तेरी उम्मीद पे ठुकरा रहा हूँ दुनिया को
तुझे भी अपने पे ये ऐतबार है के नहीं
दबा-दबा सा सही दिल में प्यार है के नहीं
झुकी-झुकी सी नज़र...
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
तुम इतना जो मुस्कुरा रहे हो - कैफ़ी आज़मी - ग़ज़ल लिरिक्स
Album : अर्थ (1983)
Music : जगजीत सिंह, चित्रा सिंह
Lyrics: कैफ़ी आज़मी
Artist: जगजीत सिंह
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
Kya Gham Hai Jis Ko Chhupaa Rahe Ho
Aankhon Men Nami Hansi Labon Par
Kya Hal Hai Kya Dikhaa Rahe Ho
Kya Gham Hai Jis Ko...
Ban Jaayenge Zahar Preete Peete
Ye Ashk Jo Peete Jaa Rahe Ho
Kya Gham Hai Jis Ko...
Jin Zakhmon Ko Waqt Bhar Chala Hai
Tum Kyon Unhen Chede Ja Rahe Ho
Kya Gham Hai Jis Ko...
Rekhaon Ka Khel Hai Muqaddar
Rekhaon Se Maat Kha Rahe Ho
Kya Gham Hai Jis Ko...
तुम इतना जो मुस्कुरा रहे हो
क्या गम है जिसको छुपा रहे हो
आँखों में नमी, हँसी लबों पर
क्या हाल है क्या दिखा रहे हो
क्या गम है जिसको...
बन जायेंगे ज़हर पीते पीते
ये अश्क जो पिए जा रहे हो
क्या गम है जिसको...
जिन ज़ख्मों को वक़्त भर चला है
तुम क्यों उन्हें छेड़े जा रहे हो
क्या गम है जिसको...
रेखाओं का खेल है मुक़द्दर
रेखाओं से मात खा रहे हो
क्या गम है जिसको...
Koi Ye Kaise Bataye Ke - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
कोई ये कैसे बताए - कैफ़ी आज़मी - ग़ज़ल लिरिक्स
Album : अर्थ (1983)
Music : जगजीत सिंह
Lyrics: कैफ़ी आज़मी
Artist: जगजीत सिंह
Koi Ye Kaise Bataye Ke Wo Tanha Kyun Hai
Wo Jo Apna Tha Wohi Aur Kisi Ka Kyun Hai
Yahi Duniya Hai To Phir Aisi Ye Duniya Kyon Hai
Yahi Hota Hai To Aakhir Yahi Hota Kyon Hai
Ek Zara Haath Badha De To Pakad Le Daaman
Uske Seene Men Sama Jaaye Hamari Dhadkan
Itni Qurbat Hai To Phir Faasala Itna Kyon Hai
Dil-E-Barabaad Se Nikla Nahin Ab Tak Koi
Ek Lute Ghar Pe Diya Karta Hai Dastak Koi
Aas Jo Toot Gayi Fir Ye Bandhata Kyun hai
Tum Masarrat Ka Kaho Ya Ise Gham Ka Rishta
Kehte Hain Pyar Ka Rishta Hai Janam Ka Rishta
Hai Janam Ka Jo Ye Rishta To Badalta Kyun Hai
कोई ये कैसे बताये के वो तन्हाँ क्यों है
वो जो अपना था, वही और किसी का क्यों है
यही दुनिया है तो फिर, ऐसी ये दुनिया क्यों है
यही होता है तो, आख़िर यही होता क्यों है
इक ज़रा हाथ बढ़ा दे तो, पकड़ लें दामन
उसके सीने में समा जाए, हमारी धड़कन
इतनी क़ुर्बत है तो फिर, फासला इतना क्यों है
दिल-ए-बरबाद से निकला नहीं अब तक कोई
इक लुटे घर पे दिया करता है दस्तक कोई
आस जो टूट गयी, फिर से बंधाता क्यों है
तुम मसर्रत का कहो या इसे ग़म का रिश्ता
कहते हैं प्यार का रिश्ता है जनम का रिश्ता
है जनम का जो ये रिश्ता तो बदलता क्यों है
Ab Tamaddun Ki Ho Ye Jeet Ke Haar - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Ab Tamaddun Ki Ho Ye Jeet Ke Haar
Mera Maazi Hai Abhi Tak Mere Kaandhe Pe Sawaar
Padta Rahta Hai Mere Maazi Ka Saaya Mujh Par
Daur-E-Khoon-Khwaari Se Guzra Hoon, Chhupaaoon Kyunkar
Daant Sab Khoon Mein Doobe Nazar Aate Hain Mujhe
Mal Liyaa Maathe Pe Tehzeeb Ka Ghaala Lekin
Barbariyat Ka Hai Jo Daagh, Wo Chhoota Hi Nahin
Gaaon Aabaad Kiye, Shehr Basaaye Hum Ne
Rishta Jangal Se Jo Apna Thha, Wo Toota Hi Nahin
Tum Pareshaan Na Ho - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
नजराना - कैफ़ी आज़मी - ग़ज़ल लिरिक्स
Tum Pareshaan Na Ho, Baab-E-Karam Waa Na Karo
Aur Kuch Der Pukarunga, Chalaa Jaaoonga
Isi Kooche Mein Jahan Chaand Ugaa Karte Hain
Shab-E-Taarik Guzaarunga, Chalaa Jaaunga
Raasta Bhool Gaya Ya Yahaan Manzil Hai Meri
Koi Laaya Hai Ki Khud Aaya Hoon Maloom Nahin
Kahte Hain Husn Ki Nazrein Bhi Haseen Hoti Hain
Main Bhi Kuch Laaya Hoon, Kya Laaya Hoon Maaloom Nahin
Yun To Jo Kuch Tha Mere Paas Mein Sab Bech Aaya
Kahin Inaam Mila Aur Kahin Qeemat Bhi Nahi
Kuch Tumhare Liye Inn Aankhon Me Chupa Rakha Hai
Dekh Lo Aur Naa Dekho To Shikayat Bhi Nahi
Ek To Itni Haseen, Dusre Yeh Aaraish
Jo Nazar Padti Hai Chehre Pe Thehar Jati Hai
Muskura Deti Ho Rasman Bhi Agar Mehfil Mein
Ek Dhanak Toot Ke Seeno Me Bikhar Jati Hai
Garm Boson Se Tarasha Hua Naazuk Paikar
Jiski Ek Aanch Se Rooh Pighal Jati Hai
Maine Socha Hai To Sab Sochte Honge Shayad
Pyaas Iss Tarah Bhi Kya Saanche Me Dhal Jati Hai
Kya Kami Hai Jo Karogi Mera Nazrana Qubool
Chahne Wale Bahut, Chaah Ke Afsaane Bahut
Ek Hi Raat Sahi Garmi-e-Hungama-e-Ishq
Ek Hi Raat Mein Jal Jate Hain Parwane Bahut
Fir Bhi Ek Raat Me sau Tarah Ke Mod Aate Hain
Kaash Tumko Kabhi Tanhayi Ka Ehsaas Na Ho
Kaash Aisa Na Ho Ghere Rahe Duniya Tumko
Aur Iss Tarah Ke Jaise Koi Paas Na HO
Aaj Ki Raat Jo Meri Hi Tarah Tanha Hai
Main Kisi Tarah Guzarunga Chala Jaunga
Tum Pareshan Na Ho, Baab-e-Karam Waa Na Karo
Aur Kuch Der Pukarunga, Chala Jaunga
तुम परेशां न हो, बाब-ए -करम वा न करो
और कुछ देर पुकारूँगा , चला जाऊंगा
इसी कुचे में जहाँ चाँद उगा करते हैं
शब्-ए-तारीक गुजारुंगा, चला जाऊँगा
रास्ता भूल गया या यहाँ मंज़िल है मेरी
कोई लाया है कि ख़ुद आया हूँ मालूम नहीं
कहते हैं हुस्न की नज़रें भी हसीं होती हैं
मैं भी कुछ लाया हूँ, क्या लाया हूँ मालूम नहीं
यूँ तो जो कुछ था मेरे पास मैं सब बेच आया
कहीं ईनाम मिला और कहीं क़ीमत भी नहीं
कुछ तुम्हारे लिए इन आँखों में छुपा रखा है
देख लो और न देखो तो शिकायत भी नहीं
एक तो इतनी हसीं , दुसरे ये आराईश
जो नज़र पड़ती है चेहरे पे ठहर जाती है
मुस्कुरा देती हो रस्मन भी अगर महफ़िल में
इक धनक टूट के सीनों में बिखर जाती है
गर्म बोसों से तराशा हुआ नाजुक पैकर
जिसकी इक आंच से रूह पिघल जाती है
मैंने सोचा है तो सब सोचते होंगे शायद
प्यास इस तरह भी क्या सांचे में ढल जाती है
क्या कमी है जो करोगी मेरा नज़राना क़बूल
चाहने वाले बहुत, चाह के अफ़साने बहुत
एक ही रात सही गर्मी-ए -हंगामा-ए -इश्क़
एक ही रात में जल जाते हैं परवाने बहुत
फिर भी एक रात में सौ तरह के मोड़ आते हैं
काश तुमको कभी तन्हाई का एहसास न हो
काश ऐसा न हो घेरे रहे दुनिया तुमको
और इस तरह कि जैसे कोई पास न हो
आज की रात जो मेरी ही तरह तनहा है
मैं किसी तरह गुज़ारूंगा चला जाऊंगा
तुम परेशां न हो, बाब-ए -करम वा न करो
और कुछ देर पुकारूँगा , चला जाऊंगा
Jo Door Se Toofan Ka Karte Hain Nazara - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Jo Door Se Toofan Ka Karte Hain Nazara
Un Ke Liye Toofaan Yahaan Bhi Hai, Wahaan Bhi
Dhaare Mein Jo Mil Jaaoge, Ban Jaao Ge Dhaara
Hai Waqt Ka Elaan, Yahaan Bhi Hai, Wahaan Bhi
Ye Zameen Tab Bhi Nigal Lene Pe Aamaada Thhi - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Ye Zameen Tab Bhi Nigal Lene Pe Aamaada Thhi
Paaon Jab Tootati Shaakhon Se Utaare Hum Ne,
Un Makaanon Ko Khabar Hai, Na Makeenon Ko Khabar
Un Dinon Ki Jo Gufaaon Mein Guzaare Hum Ne
Ki Ye Deewaar Buland, Aur Buland, Aur Buland
Baam O Dar Aur Zaraa Aur Sanwaare Hum Ne
Aaandhiyaan Tod Liya Karti Thin Shama’on Ki Laven
Jad Diye Is Liye Bijli Ke Sitaare Hum Ne
Yahi Tohfa Hai Yahi Nazraana - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Yahi Tohfa Hai Yahi Nazraana
Main Jo Aawara Nazar Laaya Hoon
Rang Men Tere Milne Ke Liye
Qatra-E-Khoone-Jigar Laaya Hoon
Ai Gulaabon Ke Watan
Pahle Kab Aaya Hoon Kuch Yaad Nahin
Lekin Aaya Tha Qasam Khaata Hoon
Phool To Phool Hain Kaanton Pe Tere
Apne Honton Ke Nishaan Paata Hoon
Mere Khwaabon Ke Watan
Ye Aandhi Ye Toofaan Ye Tez Dhaare - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Ye Aandhi Ye Toofaan Ye Tez Dhaare
Kadakte Tamaashe Garajte Nazaare
Andheri Fazaa Saans Leta Samandar
Na Hamraah Mishal Na Gardoon Pe Taare
Musaafir Khadaa Rah Abhi Jee Ko Maare
Usi Ka Hai Saahil Usi Ke Kagaare
Talaatum Men Phans Kar Jo Do Haath Maare
Andheri Fazaa Saans Leta Samandar
Yoon Hi Sar Patakte Rahenge Ye Dhaare
Ye Saanp Aaj Jo Phan Uthaaye - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Ye Saanp Aaj Jo Phan Uthaaye
Mere Raaste Mein Khadaa Hai
Padaa Thha Qadam Chaand Par Mera Jis Din
Usi Din Use Maar Dala Thha Main Ne
Hui Jab Se Science Zar Ki Ghulam
Jo Thha Ilm Ka Aitbaar Uth Gaya
Aur Is Saanp Ko Zindagi Mil Gayi
Aaj Ki Raat Bahut Garam Hawa Chalti Hai - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Aaj Ki Raat Bahut Garam Hawa Chalti Hai
Aaj Ki Raat Na Neend Aayegi
Hum Sub Uthein, Main Bhi Uthun, Tum Bhi Utho
Koi Khidki Isi Deewar Mein Khul Jayegi
Sunaa Karo Meri Jaan In Se Un Se Afsaane
Sab Ajnabi Hain Yahaan Kaun Kis Ko Pahchaane
Yahaan Se Jald Guzar Jaao Qaafile Vaalon
Hain Meri Pyaas Ke Phoonke Hu’e Ye Veeraane
Meri Junoon-E-Parastish Se Tang Aa Gaye Log
Sunaa Hai Band Kiye Jaa Rahe Hain But-Khaane
Jahaan Se Pichhle Pahar Ko’i Tashnaa-Kaam Uthaa
Vahin Pe Tode Hain Yaaron Ne Aaj Paimaane
Bahaar Aaye To Meraa Salaam Kah Denaa
Mujhe To Aaj Talab Kar Liyaa Hai Sehraa Ne
Hu’aa Hai Hukm Ke “Kaifi” Ko Sang-Saar Karo
Masih Baithe Hain Chhup Ke Kahaan Khudaa Jaane
Aaj Tooteingi Tere Ghar Ki Nazuk Khidkiyan - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Aaj Tooteingi Tere Ghar Ki Naazuk Khidkiyan
Aaj dekha gaya diwana phir tere shehr mein
Jurm hai teri gali se sar jhuka ke lautna
Kufr hai pathrao se ghabrana tere shehr mein
Abhi Khulen Ge Na Parcham Abhi Pade Ga Na Run - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Abhi Khulen Ge Na Parcham Abhi Pade Ga Na Run
Ke Mushtail Hai Magar Muttahid Nahin Hai Watan
Pukarta Hai Ufaq Se Lahoo Shaheedon Ka
Ke Ek Hath Se Khulti Nahin Gale Ki Rasan
Yeh Intishar, Yeh Halchal, Yeh Morchon Mein Shagaf
Mazaq Udate Hain Azm-E Jehad Ke Dushman
Yeh Yas Kyon, Yeh Tamanna-E Khud Kushi Kaisi
Nau Ba Fatha Hai Qalb-E Awam Ki Dhadkan
Ae Bahar Un Ko Kuchh Tasalli De - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Ae Bahar Un Ko Kuchh Tasalli De
Behnen Roti Hain Bhaiyon Ke Liye
Teri Ruhaniyat Ka Kya Kehna
Tu Ne Bachchon Ka Khoon Choos Liya
Khoon Mazhab Pe, Khoon Iman Par
Khoon Vedon Pe, Khoon Quran Par
Lash Tipu Se Surman Ki Lash
Lash Nanak Se Peshwa Ki Lash
Lash Swaraj Ki Khilafat Ki
Lash Har Jehad Har Baghawat Ki
To Mohammad Ali Ki Lash Hai Yeh
To Tilak Se Bali Ki Lash Hai Yeh
To Bhagat Singh Se Jawan Ki Lash Hai Yeh
To Hai Yeh Mopla Kisan Ki Lash
Lash Hai Yeh Alahdiyat Ki
Lash Hai Yeh Akhand Bharat Ki
Rooh Bechain Hai Ik Dil Ki Aziyat Kya Hai - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Nazm-Andeshe
Rooh Bechain Hai Ik Dil Ki Aziyat Kya Hai
Dil Hi Shola Hai To Ye Soz-E-Mohabbat Kya Hai
Wo Mujhe Bhool Gai Iski Shikayat Kya Hai
Ranj To Ye Hai Ke Ro-Roke Bhulaya Hoga
Wo Kahaan Aur Kahaan Kahif-E-Gham Sozish-E-Jaan
Us Ki Rangin Nazar Aur Nuqoosh-E-Hirman
Us Ka Ehsas-E-Latif Aur Shikast-E-Arman
Taana-Zan Ek Zamana Nazar Aaya Hoga
Jhuk Gai Hogi Jawaan-Saal Umangon Ki
Awara Sajde- Ik Yahi Soz-E-Nihaan Kul Mera Sarmaaya Hai - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Ik Yahi Soz-E-Nihaan Kul Mera Sarmaaya Hai
Dosto Main Kise Ye Soz-E-Nihaan Nazr Karoon
Koi Qaatil Sar-E-Maqtal Nazar Aata Hi Nahin
Kis Ko Dil Nazr Karoon Aur Kise Jaan Nazr Karoon
Tum Bhi Mahbob Mere Tum Bhi Ho Dildaar Mere
Aashna Mujh Se Magar Tum Bhi Nahin Tum Bhi Nahin
Khatm Hai Tum Pe Masiha-Nafasi Chaara-Gari
Mehram-E-Dard-E-Jigar Tum Bhi Nahin Tum Bhi Nahin
Roz Badhta Hoon Jahan Se Aage - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Roz Badhta Hoon Jahan Se Aage
Phir Wahin Laut Ke Aa Jaata Hoon
Baaraha Tod Chuka Hoon Jin Ko
Inhin Diwaaron Se Takraata Hoon
Roz Baste Hain Kai Shahar Naye
Roz Dharti Men Sama Jaate Hain
Zal-Zalon Men Thi Zaraa Si Girah
Wo Bhi Ab Roz Hi Aa Jaate Hain
Jism Se Rooh Talak Ret Hi Ret
Na Kahin Dhoop Na Saya Na Saraab
Ek Dua - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Ab Aur Kya Tera Beemaar Baap Dega Tujhe
Bas Ek Dua Ki Khuda Tujhko Kaamayaab Kare
Wo Taank De Tere Aanchal Men Chaand Aur Taare
Too Apne Waaste Jis Ko Bhi Intakhaab Kare
Dhal Gai Shab, Subh-E Ishrat Ka Payam Aa Hi Gaya - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Dhal Gai Shab, Subh-E Ishrat Ka Payam Aa Hi Gaya
Aftab-E Masko Bala-E Baam Aa Hi Gaya
Jin Ko Chidh Thi Ilm-O Hikmat Se, Adab Se, Rag Se
Ho Gaye Thande Ulajh Kar Zindagi Ki Aag Se
Jashn Yeh Hawwa Ka Hai Aur Eid Yeh Adam Ki Hai
Karnama Roos Ka Hai Fatah Ek Alam Ki Hai
Ek Rangin Jhijhak Ek Saada Payaam - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Ek Rangin Jhijhak Ek Saada Payaam
Kaise Bhooloon Kisi Ka Wo Pahla Salaam
Phool Rukhsaar Ke Kasmasaane Lage
Haath Uthaa Qadam Dagmagaane Lage
Rang Sa Khaal-O-Khad Se Chhalakne Laga
Sar Se Rangin Aanchal Dhalakne Laga
Ajanabiyat Nigaahen Churaane Lagi
Din Dhadakne Lagaa Lahar Aane Lagi
Saans Men Ik Gulaabi Girah Pad Gai
Honth Tharraaye Simte Nazar Gad Gai
Ghulami Ke Sab Garm Paikar Hain - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Ghulami Ke Sab Garm Paikar Hain
Yahan Khanajungi Ke Aasar Hain
Abhi Apne Daman Mein Kuchh Tar Hain
Abhi Tauq Par Hath Jate Nahin
Tarapte Hain Apni Hadon Mein Jaanb
Baham Ho Ke Toofan Uthate Nahin
Nigahon Mein Durjan Hai Teer Bhi
Hai Qabze Mein Tipu Ke Shamsheer Bhi
Bain Shan Gardan Mein Zanjeer Bhi
Muraqa Yeh Ab Dekhe Jate Nahin
Qadam Khud Badhata Hai Ab Karawan
Agar Rahbar Rah Pate Nahin
Main Dhoondhta Hoon Jise Wo Jahaan Nahin Milta - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Main Dhoondhta Hoon Jise Wo Jahaan Nahin Milta
Nai Zamin Naya Aasaman Nahin Milta
Nai Zamin Naya Aasaman Bhi Mil Jaaye
Naye Bashar Ka Kahin Kuchh Nishaan Nahin Milta
Wo Tegh Mil Gai Jis Se Hua Hai Qatl Mera
Kisi Ke Haath Ka Us Par Nishaan Nahin Milta
Wo Mera Gaanv Hai, Wo Mere Gaanv Ke Choolhe
Main Ye Soch Kar Us Ke Dar Se Uthaa Thaa - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Main Ye Soch Kar Us Ke Dar Se Uthaa Thaa
Ke Vo Rok Legi Manaa Legi Mujhko
Qadam Aise Andaaz Se Uth Rahe The
Ke Vo Aavaaz De Kar Bulaa Legi Mujh Ko
Havaaon Men Lahraataa Aataa Thaa Daaman
Ke Daaman Pakar Kar Bithaa Legi Mujhko
Magar Us Ne Rokaa, Na Mujhko Manayaa
Na Aavaaz Hi Di, Na Vaapis Bulaayaa
Na Daaman Hi Pakdaa, Na Mujh Ko Bithaayaa
Main Aahistaa Aahistaa Badhtaa Hi Aayaa
Yahaan Tak Ke Us Se Judaa Ho Gayaa Main
Mere Dil Men Too Hi Too Hai Dil Ki Dawa Kya Karoon - Kaifi Azmi Ghazal Lyrics
Mere Dil Men Too Hi Too Hai Dil Ki Dawa Kya Karoon
Dil Bhi Too Hai Jaan Bhi Too Hai Tujh Pe Fida Kya Karoon
Khud Ko Kho Kar Tujh Ko Paa Kar Kya Kya Milaa Kya Kahoon
Teraa Hoke Jeene Men Kya Kya Aya Mazaa Kya Kahoon
Kaise Din Hain Kaisi Raaten Kaisi Fizaa Kya Kahoon
Meri Hoke Too Ne Mujhko Kya Kya Diyaa Kya Kahoon
Meri Pahlu Men Jab Too Hai Phir Main Duaa Kya Karoon
Dil Bhi Too Hai Jaan Bhi Too Hai Tujh Pe Fidaa Kya Karoon
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)



No comments :
Post a Comment