Iqbal-Shayari

No comments

Allama Iqbal Shayari Collection

मंज़िल-ए-ग़म से गुजरना तो है आसाँ 'इक़बाल',
इश्क़ है नाम खुद अपने से गुजर जाने का।
Allama Iqbal Shayari Collection
Manzil-e-Gham Se Guzarna To Hai Aasaan Iqbal,
Ishq Hai Naam Khud Apne Se Guzar Jane Ka.

जब से चमन छूटा है ये हाल हो गया है,
दिल ग़म को कह रहा ग़म दिल को कह रहा।
Allama Iqbal Shayari Collection
Jab Se Chaman Choota Hai Ye Haal Ho Gaya Hai,
Dil Gham Ko Keh Raha Gham Dil Ko Keh Raha.

जफा जो इश्क़ में होती है वह जफा ही नहीं,
सितम न हो तो मोहब्बत में कुछ मजा ही नहीं।
Allama Iqbal Shayari Collection
Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai Woh Jafa Hi Nahi,
Sitam Na Ho To Mohabbat Mein Kuch Maza Hi Nahi.

क़ैद ए मौसम से तबीयत रही आज़ाद उसकी,
काश गुलशन में समझता कोई फ़रियाद उसकी।
Allama Iqbal Shayari Collection
Qaid-e-Mausam Se Tabiyat Rahi Aazad Uski,
Kaash Gulshan Mein Samjhta Koi Fariyaad Uski.

हजारों साल नर्गिस अपनी बेनूरी पे रोती है,
बड़ी मुश्किल से होता है चमन में दीदावर पैदा।
Allama Iqbal Shayari Collection
Hazaro Saal Nargis Apni BeNoori Pe Roti Hai.
Badi Mushkil Se Hota Hai Chaman Mein Deedavar Paida.

ज़मीर जाग ही जाता है अगर ज़िन्दा हो इक़बाल,
कभी गुनाह से पहले तो कभी गुनाह के बाद।
Allama Iqbal Shayari Collection
Zamir Jag Hi Jaata Hai Agar Zinda Ho Iqbal,
Kabhi Gunaah Se Pehle To Kabhi Gunaah Ke Baad.

अच्छा है दिल के साथ रहे पासबान-ए-अक़्ल
लेकिन कभी-कभी इसे तन्हा भी छोड़ दे।
Allama Iqbal Shayari Collection
Acha Hai Dil Ke Saath Rahe Paaswaan-e-Aqal,
Lekin Kabhi Kabhi Ise Tanha Bhi Chhod De.

मिटा दे अपनी हस्ती को अगर कुछ मर्तबा चाहे,
कि दाना ख़ाक में मिलकर गुल-ओ-गुलज़ार बनता है।
Allama Iqbal Shayari Collection
Mita De Apni Hasti Ko Agar Kuch Martaba Chahe,
Ki Daana Khak Mein Milkar Gul-o-Gulzar Banta Hai.

दुनिया की महफ़िलों से उकता गया हूँ या रब,
क्या लुत्फ़ अंजुमन का जब दिल ही बुझ गया हो।
Allama Iqbal Shayari Collection
Duniya Ki Mehfilo Se Ukta Gaya Hoon Ya Rab,
Kya Lutf Anjuman Ka Jab Dil Hi Bujh Gaya Ho.

अभी कमसिन हैं जिदें भी हैं निराली उनकी,
इस पे मचले हैं हम दर्द-ए-जिगर देखेंगे।
Allama Iqbal Shayari Collection
Abhi Kamsin Hain Zinden Bhi Hain Nirali Unki,
Iss Pe Machle Hain Hum Dard-e-Jigar Dekhenge.

फ़क़त निगाह से होता है फ़ैसला दिल का,
न हो निगाह में शोख़ी तो दिलबरी क्या है?
Allama Iqbal Shayari Collection
Faqat Nigaah Se Hota Hai Faisla Dil Ka,
Na Ho Nigaah Mein Shokhi To Dilbari Kya Hai?

इश्क़ तेरी इन्तेहाँ... इश्क़ मेरी इन्तेहाँ,
तू भी अभी नातमाम मैं भी अभी नातमाम।
Allama Iqbal Shayari Collection
Ishq Teri Intehaan... Ishq Meri Intehaan,
Tu Bhi Abhi NaTamaam Main Bhi Abhi NaTamaam.

इस दौर की ज़ुल्मत में हर कल्बे परेशाँ को,
वो दाग-ए-मोहब्बत दे जो चाँद को शरमा दे।
Allama Iqbal Shayari Collection
Iss Daur Ki Zulmat Mein Har Qalbe Preshaan Ko,
Wo Daag-e-Mohabbat De Jo Chaand Ko Sharma De.

लब पे आती है दुआ बन के तमन्ना मेरी,
ज़िन्दगी शम्मा की सूरत हो खुदाया मेरी।
Allama Iqbal Shayari Collection
Lab Pe Aati Hai Duaa Ban Ke Tamanna Meri,
Zindagi Shamma Ki Soorat Ho Khudaaya Meri.

मोहब्बत की तमन्ना है तो फिर वो वस्फ़ पैदा कर,
जहाँ से इश्क चलता है वहाँ तक नाम पैदा कर।
Allama Iqbal Shayari Collection
Mohabbat Ki Tamanna Hai To Fir Wo Wasf Paida Kar,
Jahan Se Ishq Chalta Hai Wahan Tak Naam Paida Kar.

No comments :

Post a Comment