Saqi-Shayari
Saqi Shayari
😍Dikha Ke Madbhari Aakhien Kaha Ye Saqi Ne,
Haraam Kehte Hain Jisko Yeh Woh Sharab Nahi.
दिखा के मदभरी आंखें कहा ये साक़ी ने,
😍Mukhatib Hain Saqi Ki Mkhmoor Najrein,
Mere Jurf Ka Imtihaan Ho Raha Hai.
मुखातिब हैं साक़ी की मख्मूर नजरें,
मेरे जर्फ का इम्तिहाँ हो रहा है।
😍Saqi Tere Nigaah Ki Kya Syahkarian Hain,
Maykhwar Hosh Mein Hai, Jahid Behak Raha Hai.
साक़ी तेरे निगाह की क्या सियाहकारियाँ हैं,
मैख्वार होश में हैं, जाहिद बहक रहा है।
😍Asar Na Poochhiye Saqi Ki Mast Aankho Ka,
Yeh Dekhiye Ki Koyi HoshMand Baaki Hai.
असर न पूछिए साक़ी की मस्त आंखों का,
यह देखिये कि कोई होशमंद बाकी है।
😍Chhalakta Bhi Rahe Humdum Rahe Labrej Bhi Saqi,
Teri Aankon Ke Sadke Humne Woh Bhi Jaam Dekhe Hain.
छलकता भी रहे हमदम, रहे लबरेज भी साक़ी,
तेरी आंखों के सद्के हमने वो भी जाम देखे हैं।
😍Nigah-e-Mast Se Mujhko Pilaye Ja Saqi,
Haseen Nigaah Bhi Jaam-e-Sharab Hoti Hai.
निगाहे-मस्त से मुझको पिलाये जा साक़ी,
हसीं निगाह भी जामे-शराब होती है।
😍Aaj Pee Lene De Jee Lene De Mujhko Saqi,
Kal Meri Raat Raat Khuda Jaane Kahan Gujregi.
आज पी लेने दे जी लेने दे मुझ को साक़ी,
कल मेरी रात ख़ुदा जाने कहाँ गुज़रेगी।
😍Mast Karna Hai Toh Khum Munh Se Laga De Saqi,
Tu Pilayega Kahan Tak Mujhe Paimaane Se.
मस्त करना है तो खुम से मुंह लगा दे साक़ी,
तू पिलायेगा कहाँ तक मुझे पैमाने से।
😍Baat Saqi Ki Na Taali Jaayegi
Kar Ke Tauba Tod Daali Jaayegi - Habib Jaleel
😍Koi Samjhaaye Ki Kya Rang Hai Maikhaane Ka
Aankh Saqi Ki Uthe Naam Ho Paimaane Ka - Iqbal Sufipuri
😍Chashm-E-Saqi Mujhe Har Gaam Pe Yaad Aati Hai
Raasta Bhool Na Jaaoon Kahin Maikhaane Ka - Iqbal Sufipuri
😍Mujh Tak Kab Un Ki Bazm Mein Aataa Tha Daur-E-Jaam
Saqi Ne Kuchh Milaa Na Diyaa Ho Sharaab Mein - Mirza Ghalib
😍Pilaa De Ok Se Saqi Jo Ham Se Nafrat Hai
Pyaala Gar Nahin Deta Na De Sharaab To De - Mirza Ghalib
😍Saqi Ki Har Nigaah Pe Bal Khaa Ke Pee Gayaa
Lahron Se Kheltaa Huaa Lahraa Ke Pee Gayaa - Jigar Moradabadi
😍Mai Rahe Meena Rahe Gardish Mein Paimaana Rahe
Mere Saqi Too Rahe Aabaad Maikhana Rahe - Riyaz Khairabadi
😍Hai Jab Se Dasht-E-Yaar Mein Saghar Sharab Ka
Kauri Ka Ho Gaya Hai Katora Gulab Ka - Aatish
😍Haathon Mein Yaar Ke Nahin Saghar Sharab Ka
Dast-E-Masih Mein Bhi Hai Qadha Aaftaab Ka - Aatish
😍Mujh Se Darya Nosh Ko Saqi Pilata Hai Sharab
Dekhta Hoon Main Zarf-E-Sheesha-O-Paiman Aaj - Aatish
😍Saqi Nahin Be Wajah Ghata Jhoomti Aati
Phir Qasd Hai Shayad Soo-E-Maikhana Kisi Ka - Hairat Allahabadi
😍Baada-E-Gulgoon Ka, Mil Jaaye Koi Paimaana Aaj
Saaqiya Kali Ghata Uthi Soo-E-Maikhan Aaj - Hairat Allahabadi
😍Too Yeh Likh De Dar-E-Maikhane Ai Peer-E-Mughaan
Zindagi Haich Hai Duniya Mein Mai-Wa-Jaam Ke Ba'd - Hairat Allahabadi
😍Khoob Sarshaar Hoon Le Haath Mein Paimaane Ko
Saaqiya Ham Bhi Duaa Dein Tere Maikhaane Ko - Hairat Allahabadi
😍Hum Soo-E-Maikhan Saqi Aap Se Jaate Nahin
Kya Karen Laut Jaata Hai Suboo Ke Naam Par - Hairat Allahabadi
😍Fareb-E-Saqi-E-Mahfil Na Poochhiye "Majrooh"
Sharaab Ek Hai Badle Hue Hain Paimaane - Majrooh Sultanpuri
😍Mast Kar Ke Mujhe Auron Ko Laga Munh Saqi
Ye Karam Hosh Mein Rah Kar Nahin Dekhe Jaate - Ali Ahmed Jaleeli
😍Zikr-E-Saqi Hi Kaafi Nahin Ai 'Fana'
Be-Piye Maikade Mein Guzaaraa Nahin - Fana Nizami Kanpuri
😍Shaayad Aa Jayega Saqi Ko Taras Ab Ke Baras
Mil Na Paaya Hai Un Aankhon Ka Ras Ab Ke Baras - Rai Rampuri
😍Aankh Ko Jaam Samajh Baitha Tha Anjaane Mein
Saaqiya Hosh Kahaan Tha Tere Divaane Mein - Shamim Shahabadi
😍Ye Rang-E-Bahaar-E-Aalam Hai Kyoon Fikr Hai Tujh Ko Ai Saqi
Mahfil To Teri Sooni Na Hui Kuchh Uth Bhi Gaye Kuchh Aa Bhi Gaye - Majaz
😍Laa Pilaa De Saaqiya Paimaana Paimaane Ke Baad
Hosh Ki Baaten Karoon Ga Hosh Mein Aane Ke Baad
😍Tere Sheeshe Mein Mai Baaqi Nahin Hai
Bata Kya Too Mera Saqi Nahin Hai
😍Samandar Se Mile Pyaase Ko Shabnam
Bakheeli Hai Ye Razzaaqi Nahin Hai - Allama Iqbal
😍Ye Alag Baat Hai Saqi Ki Mujhe Hosh Nahin
Hosh Itanaa Hai Ki Main Tujh Se Faraamosh Nahin
😍Mast Karnaa Hai To Khud Munh Se Lagaa De Saqi
Too Pilaaye Gi Kahaan Tak Mujhe Paimaane Se
😍Sab Ki Nazron Mein Ho Saqi Ye Zaroori Hai Magar
Sab Pe Saaqi Ki Nazar Ho Ye Zaroori To Nahin - Khamosh Dehlvi
😍Saqi Nazar Na Aaye To Gardan Jhukaa Ke Dekh
Sheeshe Mein Maahtaab Hai Sach Boltaa Hoon Main
😍Thi Agar Mai Se Suraahi Teri Khaali Saqi
To Chiraagh-E-Dar-E-Maikhaana Jalaaya Kyoon Tha
😍Faza Maghmoom Hai Saqi Uthaa Chhalkaayen Paimaana
Andhera Badh Chala Hai Laa Zara Qandeel-E-Maikhaana
😍Dhal Gayaa Aaftaab Ai Saqi
Laa Pilaa De Sharaab Ai Saqi
😍Yaa Suraahi Lagaa Mere Munh Se
Yaa Ulat De Naqaab Ai Saqi
😍Mai-Kada Chhod Kar Kahaan Jaaoon
Hai Zamaanaa Kharaab Ai Saqi
😍Jaam Bhar De Gunaah-Gaaron Ke
Ye Bhi Hai Ik Savaab Ai Saqi
😍Aaj Peene De Aur Peene De
Kal Karen Ge Hisaab Ai Saqi - Sudarshan Faakhir
😍Jaam-E-Sharaab Haath Se Saqi Ne Rakh Diya
Jab Menh Baras Ke Dhoop Chaman Mein Zaraa Khili - Daagh Dehlvi
😍Saaqiya Tishnagi Ki Taab Nahin
Zeher De De Agar Sharaab Nahin
😍Roz Marta Hun Roz Jeeta Hun
Zindagi Ka Koi Hisaab Nahin - Daagh Dehlvi
😍Jaam-E-Sharaab Haath Se Saqi Ne Rakh Diya
Jab Menh Baras Ke Dhoop Chaman Mein Zaraa Khili - Daagh Dehlvi
😍Saaqiya Tishnagi Ki Taab Nahin
Zeher De De Agar Sharaab Nahin
😍Roz Marta Hun Roz Jeeta Hun
Zindagi Ka Koi Hisaab Nahin - Daagh Dehlvi
😍Jigar Ki Aag Bujhe Jald Jis Mein Woh Shai La,
Laga Ke Barf Mei’n Saqi, Suraahi-E-Mai La - Insha
😍Jaam Bhar De Gunahgaron Ke, Ye Bhi Ik Sawaab Ai Saqi
Aaj Peene De Aur Peene De, Kal Karen Ge Hisaab Ai Saqi
😍Sharab Aaj Too Saqi Na Rakh Chupaaye Hue
Ke Door Door Se Hain Baada-Khawar Aaye Hue
😍Tasavvur Arsh Par Hai Aur Sar Hai Paa-E-Saqi Par
Gharz Kuch Aur Dhun Mein Is Ghadi Mai-Khwaar Baithe Hain -Insha
😍Tere Dar Pe Vo Aa Hi Jaate Hain
Jin Ko Peene Ki Aas Ho Saqi
😍Aaj Itni Pilaa De Aankhon Se
Khatm Rindon Ki Pyaas Ho Saqi
😍Halka Halka Suroor Hai Saqi
Baat Koi Zaroor Hai Saqi
😍Teri Aankhen Kisi Ko Kyaa Dengi
Apnaa Apnaa Suroor Hai Saqi
😍Teri Aankhon Ko Kar Diyaa Sajdaa
Meraa Pahlaa Qusoor Hai Saqi
😍Tere Rukh Pe Ye Pareshaan Zulfen
Ik Andhere Men Noor Hai Saqi
😍Teri Aankhen Kisi Ko Kyaa Dengi
Apnaa Apnaa Suroor Hai Saqi
😍Peene Vaalon Ko Bhi Nahin Maaloom
Maikadaa Kitni Door Hai Saqi - Abdul Hameed Adam
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)



No comments :
Post a Comment