Khuda-Shayari
Khuda "खुदा" Shayari
🙏-Wohi Rakhega Mere Ghar Ko Balaaon Se Mehfooz,
Jo Shajar Se Ghosla Girne Nahin Deta.
वही रखेगा मेरे घर को बलाओं से महफूज,
जो शजर से घोसला गिरने नहीं देता।
🙏-Hawa Khilaaf Thi Lekin Chirag Bhi Khoob Jala,
Khuda Bhi Apne Hone Ka Kya Kya Saboot Deta Hai.
हवा खिलाफ थी लेकिन चिराग भी खूब जला,
खुदा भी अपने होने का क्या क्या सबूत देता है।
🙏-Ehsas-e-Nidaamat, Ek Sajda Aur Chashm-e-Tar,
Aye Khuda Kitna Aasaan Hai Mananaa Tujh Ko.
एहसास-ए-निदामत, एक सजदा और चश्म-ए-तर,
ऐ खुदा कितना आसान है मनाना तुझ को।
🙏-Khuda Ko Bhool Gaye Log Fikr-e-Rozi Mein,
Talaash Rizq Ki Hai Raaziq Ka Khayaal Nahi.
खुदा को भूल गए लोग फ़िक्र-ए-रोज़ी में,
तलाश रिज्क की है राजिक का ख़याल नहीं।
🙏-Muhabbat Kar Sakte Ho To Khuda Se Karo,
Mitti Ke Khilono Se Kabhi Wafa Nahi Milti.
मोहब्बत कर सकते हो तो खुदा से करो,
मिट्टी के खिलौनों से कभी वफ़ा मिलती नहीं।
🙏-Ek Muddat Ke Baad Hum Ne Yeh Jaana Aye Khuda,
Ishq Teri Zaat Se Sacha Hai, Baki Sab Afsane.
एक मुद्दत के बाद हम ने ये जाना ऐ खुदा,
इश्क तेरी ज़ात से सच्चा है वाकी सब अफसाने।
🙏-Karam Jab Aala-e-Nabi Ka Shareek Hota Hai,
Bigad Bigad Kar Har Kaam Theek Hota Hai.
करम जब आला-ए-नबी का शरीक होता है
बिगड़ बिगड़ कर हर काम ठीक होता है।
🙏-Na Tha Koi Humara Na Hum Kisi Ke Hain,
Bus Ek Khuda Hai Aur Hum Usi Ke Hain.
न था कोई हमारा न हम किसी के हैं,
बस एक खुदा है और हम उसी के हैं।
🙏-Mit Jaaye Gunaahon Ka Tasawur Hi Jahan Se,
Agar Ho Jaye Yakeen Ke Khuda Dekh Raha Hai.
मिट जाये गुनाहों का तसव्वुर ही जहां से,
अगर हो जाये यकीन के खुदा देख रहा है।
🙏-Aadam Ko Mat Khuda Kaho Aadam Khuda Nahi,
Lekin Khuda Ke Noor Se Aadam Juda Nahi.
आदम को मत खुदा कहो आदम खुदा नही,
लेकिन खुदा के नूर से आदम जुदा नहीं।
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)


No comments :
Post a Comment