Kaash-Shayari

No comments

Kaash "काश" Shayari

Dil-e-Gumrah Ko Kaash Yeh Malum Hota,
Pyar Tab Tak Haseen Hai Jab Tak Nahi Hota.
दिल-ए-गुमराह को काश ये मालूम होता,
प्यार तब तक हसीन है, जब तक नहीं होता।

Wo Roz Dekhta Hai Doobte Suraj Ko Iss Tarah,
Kaash... Main Bhi Kisi Shaam Ka Manzar Hota.
वो रोज़ देखता है डूबते सूरज को इस तरह,
काश... मैं भी किसी शाम का मंज़र होता।

Uss Ki Hasrat Ko Mere Dil Mein Likhne Wale,
Kaash Uss Ko Bhi Meri Qismat Mein Likha Hota.
उस की हसरत को मेरे दिल में लिखने वाले,
काश... उसको भी मेरी क़िस्मत में लिखा होता।

No comments :

Post a Comment