Waseem-Barelvi
Waseem Barelvi Shayari Collection
किसी को कैसे बताएँ जरूरतें अपनी,
मदद मिले न मिले आबरू तो जाती है।
Kisi Ko Kaise Batayein Jaruratein Apni,
Madad Mile Na Mile Aabroo To Jaati Hai.
उनसे कह दो मुझे ख़ामोश ही रहने दे 'वसीम',
Unse Keh Do Mujhe Khamosh Hi Rehne De Waseem,
Lab Pe Aayegi To Har Baat Giraan Gujregi.
वो मेरे घर नहीं आता मैं उसके घर नहीं जाता,
Wo Mere Ghar Nahi Aata Main Uske Ghar Nahi Jata,
Magar Inn Ehtiyaton Se Taalluk Mar Nahi Jata.
वैसे तो इक आँसू ही बहा कर मुझे ले जाए,
Waise To Ek Aansoo Hi Baha Kar Mujhe Le Jaye,
Aise Koi Toofan Hila Bhi Nahi Sakta.
शराफ़तों की यहाँ कोई अहमियत ही नहीं,
Sharafaton Ki Yahan Koi Ahemiyat Hi Nahi,
Kisi Ka Kuchh Na Bigaado To Darrta Kaun Hai.
उसी को जीने का हक़ है जो इस ज़माने में,
Usee Ko Jeene Ka Haq Hai Jo Iss Zamane Mein,
Idhar Ka Lagta Rahe Aur Udhar Ka Ho Jaye.
फूल तो फूल हैं आँखों से घिरे रहते हैं,
Phool To Phool Hain Aankhon Se Gire Rehte Hain,
Kaante Bekaar Hifazat Mein Lage Rehte Hain.
हम ये तो नहीं कहते कि हम तुझसे बड़े हैं,
Hum Ye To Nahi Kehte Ki Hum Tujhse Bade Hain,
Lekin Ye Bahut Hai Ki Tere Saath Khade Hain.
आसमाँ इतनी बुलंदी पे जो इतराता है,
Aasmaan itni Bulandi Pe Jo Itraata Hai,
Bhool Jata Hai Zamin Se Hi Najar Aata Hai.
ज़रा सा क़तरा कहीं आज अगर उभरता है,
Jara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai,
Samundaron Hi Ke Lehje Mein Baat Karta Hai.
हमारे घर का पता पूछने से क्या हासिल,
Humare Ghar Ka Pata Puchhne Se Kya Hasil,
Udaasiyon Ki Koi Shahariyat Nahi Hoti.
दुख अपना अगर हमको बताना नहीं आता,
Dukh Apna Agar Humko Batana Nahi Aata,
Tumko Bhi To Andaza Lagana Nahi Aata.
मोहब्बत में बिछड़ने का हुनर सब को नहीं आता,
Mohabbat Mein Bichhadne Ka Hunar Sabko Nahi Aata,
Kisi Ko Chhodna Ho To Mulakaatein Badi Karna.
ग़म और होता सुन के गर आते न वो 'वसीम',
Gham Aur Hota Sunke Gar Aate Na Wo Waseem,
Achchha Hai Mere Haal Ki Unko Khabar Nahi.
इसी ख़याल से पलकों पे रुक गए आँसू,
Isee Khayal Se Palkon Pe Ruk Gaye Aansoo,
Teri Nigaah Ko Shayad Suboot-e-Gham Na Mile.
जो मुझ में तुझ में चला आ रहा है बरसों से,
Jo Mujhmein Tujhmein Chala Aa Raha Hai Barson Se,
Kahin Hayat Isee Faasle Ka Naam Na Ho.
तुम आ गए हो तो कुछ चाँदनी सी बातें हों,
Tum Aa Gaye Ho To Kuchh Chaandni Si Baatein Hon,
Zamin Pe Chaand Kahan Roz Roz Utarta Hai.
तुम मेरी तरफ़ देखना छोड़ो तो बताऊँ,
Tum Meri Taraf Dekhna Chhodo To Bataaun,
Har Shakhs Tumhari Hi Taraf Dekh Raha Hai.
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)




















No comments :
Post a Comment