Daagh-Dehlvi
Daagh Dehlvi Shayari Collection
क्या पूछते हो कौन है ये किसकी है शोहरत,
Kya Puchte Ho Kaun Hai Ye Kiski Hai Shohrat,
Kya Tumne Kabhi 'Daagh' Ka Deewan Nahi Dekha.
ख़ातिर से या लिहाज़ से मैं मान तो गया,
झूठी क़सम से आपका ईमान तो गया।
Khatir Se Ya Lihaaz Se Main Maan To Gaya,
Jhoothhi Qasam Se Aapka Imaan To Gaya.
तुम्हारे खत में नया इक सलाम किसका था,
Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha,
Na Tha Raqeeb To Aakhir Wo Naam Kiska Tha.
दाग़ दुशमन से भी झुककर मिलिए,
Daagh Dushman Se Bhi JhukKar Miliye,
Kuch Ajeeb Cheez Hai Milansaari.
यूँ मेरे साथ दफ़न दिल-ए-बेक़रार हो,
Yoon Mere Saath Dafan Dil-e-BeQarar Ho,
Chota Sa Ek Mazar Ke Andar Mazar Ho.
ज़ीस्त से तंग हो ऐ दाग़ तो जीते क्यूँ हो,
Zeest Se Tang Ho Aye 'Daagh' To Jeete Kyun Ho,
Jaan Pyari Bhi Nahi Jaan Se Jaate Bhi Nahi.
वफ़ा करेंगे... निबाहेंगे... बात मानेंगे,
Wafa Karenge... Nibahenge... Baat Manenge,
Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kiska Tha.
कहने देती नहीं कुछ मुँह से मोहब्बत मेरी,
Kehne Deti Nahi Kuch Munh Se Mohabbat Meri,
Lab Pe Reh Jati Hai Aa-Aa Ke Shikayat Meri.
थक-थक के बंद होते हैं चस्म-ए-इंतजार,
Thak-Thak Ke Band Hote Hain Chasm-e-Intezar,
Aata Hai Sab Ko Khayal Tumhare Khayal Se.
और होंगे तिरी महफ़िल से उठने वाले,
Aur Honge Teri Mehfil Se Uthne Wale,
Hazrat-e-Daagh Jahan Baithh Gaye Baithh Gaye.
मिलाते हो उसी को ख़ाक में जो दिल से मिलता है,
Milate Ho Usi Ko Khaak Mein Jo Dil Se Milta Hai,
Meri Jaan Chahne Wala Badi Mushkil Se Milta Hai.
खूब पर्दा है कि चिलमन से लगे बैठे हैं,
Khoobb Parda Hai Ki Chilman Se Lage Baithe Hain,
Saaf Chupte Bhi Nahi Samne Aate Bhi Nahi.
क्यूँ वस्ल की शब हाथ लगाने नहीं देते,
Kyun Vasl Ki Shab Haath Lagane Nahi Dete,
Mashooq Ho Ya Koi Amanat Ho Kisi Ki.
शब-ए-विसाल है गुल कर दो इन चराग़ों को,
Shab-e-Visaal Hai Gul Kar Do Inn Chiragon Ko,
Khushi Ki Bazm Mein Kya Kaam Jalne Walon Ka.
इक अदा मस्ताना सर से पाँव तक छाई हुई,
Ek Ada Mastana Sar Se Panv Tak Chaai Hui,
Uff Teri Qafir Jawani Josh Par Aayi Hui.
ये तो कहिए इस ख़ता की क्या सज़ा,
Ye To Kahiye Iss Khata Ki Kya Saza,
Main Jo Keh Doon Aap Par Marta Hoon Main.
छेड़ माशूक़ से कीजे तो जरा थम-थम कर,
Chhed Mashooq Se Keeje To Zara Tham-Tham Kar,
Roz Ke Naama-o-Paigham Bure Hote Hain.
अजब अपना हाल होता जो वस्ल-ए-यार होता,
कभी जान सदके होती कभी दिल निसार होता,
कोई फ़ित्ना या क़यामत न फिर अश्कार होता,
Ajab Apna Haal Hota Jo Vasle-Yaar Hota,
Kabhi Jaan Sadke Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota,
Koi Fitna Ya Qayamat Na Fir Ashkar Hota,
Tere Dil Pe Zalim Kash Mujhe Ikhteyar Hota.
मुमकिन नहीं कि तेरी मोहब्बत की बू न हो,
काफ़िर अगर हज़ार बरस दिल में तू न हो,
क्या लुत्फ़-ए-इंतज़ार जो तू हीला-जू न हो,
Mumkin Nahi Ki Teri Mohabbat Ki Boo Na Ho,
Qafir Agar Hazaar Baras Dil Mein Tu Na Ho,
Kya Lutf-e-Intezar Jo Heela-Joo Nahi Ho,
Kis Kaam Ka Visaal Agar Aarzoo Na Ho.
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)





















No comments :
Post a Comment