Naseeb-Shayari
Naseeb Shayari
Mujhe Tujhse Koyi Shikwa Ya Shikayat Nahi,
Shayad Mere Naseeb Mein Teri Chahat Nahi,
Meri Takdeer Likh Kar Khuda Bhi Mukar Gaya,
Maine Pucha To Bola Yeh Meri Likhawat Nahi Hai.
मुझे तुझसे कोई शिकवा या शिकायत नहीं,
शायद मेरे नसीब में तेरी चाहत नहीं है,
मेरी तकदीर लिखकर खुदा भी मुकर गया,
मैंने पूछा तो बोला ये मेरी लिखावट नहीं है।
Dil Ameer Tha Magar Muqadar Gareeb Tha,
Mil Kar Bichhadna Toh Humara Naseeb Tha,
Hum Chaah Kar Bhi Kuch Kar Na Sake,
Ghar Jalta Raha Aur Samundar Qareeb Tha.
दिल अमीर था मगर मुकद्दर गरीब था,
मिलकर बिछड़ना तो हमारा नसीब था,
हम चाह कर भी कुछ कर न सके,
घर जलता रहा और समंदर करीब था।
Naseeb Ban Kar Koyi Zindagi Mein Aata Hai,
Phir Khawab Ban Kar Aankhon Mein Sama Jata Hai,
Yakeen Dilata Hai Ki Woh Hamara Hi Hai,
Phir Na Jane Kyun Waqt Ke Sath Badal Jata Hai.
नसीब बनकर कोई जिंदगी में आता है,
फिर ख्वाब बनकर आँखों में समा जाता है,
यकीन दिलाता है कि वो हमारा ही है,
फिर न जाने क्यूँ वक़्त के साथ बदल जाता है।
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)


No comments :
Post a Comment